Monday, February 2, 2009

Tere Bagair

Mahfil me tanhai lage
Jindgi me ruswai lage
Tere bagair . . . . .
Sham ki sham dhal jaati hai, Rat ki rat kat jaati hai
Jaane kab ho jaati hai sham se sahar
Mujhko nahi hoti hai khabar
Jindgi gayi si hai thahar
Tere bagair . . . . . . .
Kaato se jayada folo se chubhan hoti hai
Jhakta hu jab muat ki aakho me
Jindgi se bhi jalan hoti hai
Tere bagair . . . . . . .
Najaro me najar aaye chahera tera
mujh me baki abhi tak ahsas tera
Tarsi hai teri jhalak ko aakhe meri
Barsi hai rat-2 bhar aakhe meri yaado me teri
Tere bagair . . . . . . .
Teri aahat se , milti hai rahat
Har padchai ko mud k dekhna
Ban gyi hai meri aadat
Kya kahu teri har baat
Kitani yaad aati hai
Tere na hone ka ahasas
Har pal hajaro muat dekar jaati hai,
Rah rah k sochta hu
Kya karu aisa,Ki tum luatkar aa jao
Meri saso ko ek bar fir mahka jao
Khuli aakho se sapne dekhta hu
Bhigi palko se kismet ko dhota hu
tere bina hu mai adhura
Lagta hai na hoga ye khwab kabhi pura
Baithe -2 saham jaata hu
Soti raato me aachanak se chuk jaata hu
Tere bagair . . . . . . .
Band hoti hai jab aakhe meri
Khud ko tanhaiyo k ghare me paata hu
Tadapta hu , chillata hu
Tere sang ek lamha aur jeene k o
Khokar apna sabkuch tumko pane ko
Marta hu tere panaho me marne ko
Chirti hai mujhko sda meri
Dekhta hu balkhati hu jindgi jab bhi
Yaad aati har ek ada teri
Tere bagair . . . . . . .
Kya tujhko ek pal bhi, Aati nahi yaad meri
Kya tujh tak nahi pahuchti, Ek pal ki hajar sdaye meri
Mai ab aur nahi ji sakta
Tere bagair . . . . . .
Tujh se milne ko jagi talab aisi
Bhol kar ho gyi tu kisi aur ki
Par main a bhula tujhko ek pal bhi
Aaj mai saari kasme tod rha hu
Babasi,dard me dubi jiwan ko taz rha hu
Thi kya jindgi jindgi
Tere bagair . . . . . .

2 comments:

  1. wah wah kya baat hi....had to wait for a long time see ur poem.nyways thats a fantastic poem..keep it up!!

    ReplyDelete