Saturday, February 14, 2009

jana anjana ahsas

Jaane kyo mahsus hoti hai kami dil k aagan me
Bichoh se tapdta hai dil kore sapno ke bagan me
Na choker bhi chua ho kisi ne meri man ko aise
Sadiya biti ho uski pnaho me jaise
Kabhi khushi se jhumti hu to kabhi roti hu
Kabhi rah rah k muskati hu to kabhi khawbo ko sanjoti hu
Jaane tum mere kuan ho
Apalak palke bichaye baithi hu tumhari raho me
Ek jani par anjani si khushboo sasao ko mahkati hai
Ho tum mere aas-pas ye vishwash dilate hai
Jaane kuan sa hai ye rishta
Athah khushiya chipi hai jiske daman me
Bin purwai purwai me manwa dole
Isthir hoke bhi thirku mai hule hule
Dil kahe khud ko bhi luta du
Ya jitani khushiya ho mere daman me
Tauamr tumko khud me bsa lu
Jaane kaise hai ye ahsas
Barkha ki budo se bhi sirhan ho
Fire ghat ghat man ye mera
Jaise upwan ho duniya tera
Jau yha ya waha,chali jau mai chahe jha
Ek pal bhi na tu dor ho
Hatho me hai hath tera kuch is tahar
Chalu mai jami pe lage aasma hai tu mera
Jaane kaise mite ye duri
Milan hai ab jaruri
Na janu tera naam pta
Na janu tu hai kha
Fir bhi pagal dil mera ye kahe
Uad jau neele gagan me
Todkar bandhne saari
Tutkar bikhar jau tujhme aise
Sunhare fool me ho khushboo jaise

2 comments: