Tuesday, December 30, 2008

soch

soch kar dekho to
raste khud najar aayege
tujhe chalne ki jarurat nahi
manjil khud chal kar tere pass aayege

Monday, December 29, 2008

four lines

dard ka jaam uthana nahi chahta 

tere dil ka piyam padna nahi chahta

chata hu sirf tujhe bas ye baat 

labo se kahna nahi chahta

Saturday, December 27, 2008

fariyaad

yaade dil ko tadpati hai.
kabhi aasu to
kabhi hasi de jaati hai.
lekin mai wo yaad nahi,
jo aasu bankar teri aankho se bahuga
wo fariyaad nahi,
jo labz bankar teri labo se nikaluga
jab bhi tu yaad karegi mujhe
aauga tere hotho pe hasi bankar
lejauga saare gam khushi bankar
tu rahe khush teri mahfil saji rahe
chahe meri jindgi me gam hi gam rahe
jab bhi mahfil me tujhe tanhai lage
dil ka tukda khoya-khoya sa lage
samajh lena maine tujhe yaad kiya
tujh se milne ki fariyaad kiya
tu duadkar mere paas aajana
jaadu ki ek jhappi de jana
tujh se tera waqat nahi mangta
agar dil k haatho majboor na hota
jiyada nahi kuch der yaad kar lena
sachche dil se mera naam lekar
mere marte pyar ko jiwan de dena
meri aankhe har waqat karti hai tera intzar
jab bhi aana meri galiyo me
ek jhalak dekar de jana krar
tere wirah ki tapish se jhulse mere tan ma ko
mil jaayega suhane basant ka harsho-ullas
is ummeed pe jiwan kat luga
pyar k phool fir khilege
apne darmiya na dooriya hogi
kewal sawan ki ladiya hi ladiya hogi